Home भारत Asli deshbhakt kon?

Asli deshbhakt kon?

Kon hai asli deshbhakt? : Ye prashn pucha jana chahiye. Halanki, samay Şamay par is ko vibhinn varg evam samuho ne apne apne anuusar paribhashiit kıya hai. Kintu dukh ki baat ye hai ki ye sabhi paribhashayen kisi na kisi swarth se prerit rahi hain. Jisme raajneetik swarth sarwopari rahe. Aisi paribhashayen aam tor par insan ko baantne ka kaam jyada kart hain. Jabki deshbhakti ka arth desh aur uske vasiyo ko jodne ka hona chahiye.

Waqt aa gaya hai ki Deshbhakti ki paribhasha ko sahi tarike se samjha jaye aur ise samaaj ke vibhinn logon ko bataya bhi jaye. Main aapse puchta hun, app ke anusaar Kon hai asli deshbhakt? Kya kisi party vishesh ko samrthan karne wale log hi deshbhakt hain? Ya kisi dharm vishesh ko maanane wale hi asli deshbhakt hain? Wo log jo sadko par dharna dete hain?

Ya wo log jo jor jor se vande maatram ke naare lagate hain? Chilla chilla kar yeh kehna ki aap desh se pyaar karte hain iska katai matlab nahi hai ki aap asli deshbhakt hai. Angrezi main ek kahawat hai “Action speak louder than words” arthat: aapki karni apke shabdo se jyada mahatwapoorna hai. Aap jaisa acharan karte hain wo batata hai ki aap kaise aur kitne deshbhakt hain.

Asliyat to ye hai ke deshbhakti keval ek shabd nahi balki ek vichaardhara hai. Jis vichardhara ke antargat deshhit ke sath sath deshwasiyon ka hit bhi sarwopari hota hai. Aamtor par dekha yeh gaya hai ki deshbhakti ko paribhashit karne wale log desh ko hi serve sarva maan kar vyakhya karte hain.

Jab ki deshwasiyon ko bhul hi jaate hain. Unhe jaanna chahiye ki desh bina dehswasiyon ke adhura hai our deshwasi desk ke bina. Iska matlab deshbhakti ko do bhagon main vibhajit kina ja sakta hai. Pehla bhaag jisme aap desh ke liye kya karte hain ye mahatva rakhta hai our dusra jisme aap apne dehswasiyon ke sath kasa vyahwaar karte hain.

Deshbhakti ki Paribhasha

To fir kaise jane ki kon hai asli deshbhakt? Is prashn ka uttar jitna kathin hai utna hi saral bhi hai. Chaliye hum our aap is prashna ka uttar dhundte hai.

Shuru karte hain perle bhaag se (Desh ke prati apka kartvya). Chaliye ise ek udhahran ke sath samajhte hain. Maan lijiye aap ek vidyarthi hain jo kisi vishwa Vidyalya main dakhila lena chahte hain. To iske liye aapko kya karna hoga? Saamnya tor par aapko us vishwa vidyalya dwara sathapit kiye gaye sabhi niyamon ka paaalan karna hoga.

Ye niyam alag alag star par lagaye jagte hain. Jaise, pravesh pane ke liye alag niyam honge. Pravesh pane ke baad vishwa vidyalaya main padhne ke liye alag niyam honge. Tatha yadi aap vishwavidyalaya parisar main hostel main rehna chahte hain uske liye alag niyam honge.

Jo vyakti in sabhi niyamon ka kabhi ulanghan nahi karta evam kartwya nishtha se inka paalan karta hai wahi adarsh vidhyarthi kehlata hai. Isi prakaar desh ko chalane ke liye samwindhaan dwara diye gaye adhikaaron ka uchit upyog evam sarkar dwara banaye gaye niyamo ka nishtha se palen karne wala vyakti hi deshbhakt kehlane layak hota hai.

Aiye ise bi udharan se samajhte hain. Aap jante hain corona ke chalte sarkaar ne 21 din ka lockdown ghoshit kiya hai. Yani ye humeri sarkar dwara banaya gaya niyam hai. Is paristithi yadi aap abhi bhi akaaran gharon se baahar ghum rahe hain to yakinan aap na to ache deshvaasi hain na hi deshbhakt.

Aiye ab jaane deshbhakti ke dusre bhaag ke baare main yani “deshvasiyon ke prati apka kartvya”. Yadi aap desh ke prati apna kartvya purna karte hain kintu deshvasiyon ke prati apne kartvya main peeche rehte hain to nishchit hi aapki deshbhakti adhuri hai. Kyonki desh deshvaasiyon se banta hai. Jisme aap, hum aur humare sabhi seh naagrik aate hain.

Humain apne deshvasion ke prati apne kartvyon ka chi paalan karna padega tabhi hum purna desshbhakt hone ke liye pramadit honge. Kya hain ye kartvya? Aiye jaane. Apne padosi ki madad karna, unka dhyan rakhna or sare samaaj ka dhyan rakhte huye kaam karna.

Aiye ise bhi udhahran se samjhte hain. Vartmanan stithi main yadi lockdown ko dekhte huye aap jaruri vastuon ka bhandaran karna shuru kar dete hain yeh soch kar ke aap inhe dugne daam main bech kar munafa kamayenge. To jaan lijiye aap deshbhakt nahi ho sakte. Aapki is harkat se na kewal janata jaruri vastuon ke liye jyada paisa degi balki nichle tabke ke log jaruri vastu se vanchit ho jayenge.

Kehne ka artha ye hai ki Yadi asli deshbhakt banna hai hai to humain dhyan rakhna hoga ki deshbhakti desh evam deshvasiyon ka dhyaan rakhne main hai na ki apna swartha saadhne main.

Ye to thi humari paribhasha. Aap ke anusaar deshbhakti ki paribhasha kya hai awashya batayen. Dhanyawad.

Read more: Bhooke  Maajdur or garib log Crorona k Curfew se Pade inke bare me 

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here